Zaroor teri Galli se guzar huwa hogaa
Keh aaj Baad-e-Sabaa beqaraar aai hai
Koi DimaagH Tasawwur bhii jin kaa kar na sake
yeh Jaan-e-zaar wo Lamhe guzaar aai hai
KHudaa gawaah keh un ke Firaaq meiN “Kausar”
Jo saaNs aai hai wo sogawaar aai hai **
(Poet=Kausar Niyazi )
**Be-kHudi le gai kahaaN ham ko
Der se intazaar hai apnaa
Jis ko tum Aasmaan kehte ho
So DiloN kaa gHubaar hai apnaa
**
[This message has been edited by Tassneef (edited July 08, 2002).]