Kabhi Jo Ehad-e-Wafa Meri Jaan, Teray Meray Darmiyan Tootey..!!

**Kabhi Jo Ehad-e-Wafa Meri Jaan.., Teray Meray Darmiyan Tootey..!!
Mein Chahta Hoon Kay Issey Pehlay Zameen Peh Yea Aasmaan Tootey..!!

Teri Judaii Mein Hosloon Ki Shikast, Dil Par Azaab Tehri..!!
Keh Moun-zoor Zal’zaloon Ki Dhamak Say Koi Chitaan Tootey..!!

Ussey Yaqeen Tha Keh Usko Marna Hay, Phir Bhi Khuwish Thi Uskay Dil Mein..!!
Keh Teeer Chalnay Say Paish’tar Dast-e-Dushmanaa’n Ki Kamaa’n Tootey..!!

Sabhi Dale’lain Sambhaal Kar Bhi Meray Waqeloo Yea Sooch Lena..!!
Wohein Peh Meri Shikist Hogi Jahan Bhi Mera Bayaan Tootey..!!

Fana Kay Teelay Par Kheema-e-Jaan, Hawa Kay Jhonkay Say Yun Gira..!!
Keh Jaisay Bad-Qistmati Say Buzdil Shikari’on Ki Machaan Tootey..!!

Woh Sangg Hay Toa Girray Bhi Dil Par.. Woh Aaina Hay Toa Chubb Hi Jaye..!!
Kahein Toa Mera Yaqeen Bikhrey, Kahein Toa Mera Ghumaan Tootey…!!

Ujaar-bann Ki Udhaas Rutt Mein, Ghazal Mohsin Nay Chairr Dhi..!!
Kissey Khaber Hay Keh Kis Kay Masoom Dil Peh Ab Kay Yea Taan Tootey..!!**

Re: Kabhi Jo Ehad-e-Wafa Meri Jaan, Teray Meray Darmiyan Tootey..!!

Ujaar-bann Ki Udhaas Rutt Mein, Ghazal Mohsin Nay Chairr Dhi..!!
Kissey Khaber Hay Keh Kis Kay Masoom Dil Peh Ab Kay Yea Taan Tootey..!!

:k:

Re: Kabhi Jo Ehad-e-Wafa Meri Jaan, Teray Meray Darmiyan Tootey..!!

**Woh Sangg Hay Toa Girray Bhi Dil Par.. Woh Aaina Hay Toa Chubb Hi Jaye..!!
Kahein Toa Mera Yaqeen Bikhrey, Kahein Toa Mera Ghumaan Tootey…!!

:k: Ye be yaqeeni :hinna:
**