Kabhi iss nagar tujhay dekhna,kabhi uss nagar tujhay dhooNdhna

Kabhi iss nagar tujhay dekhna,kabhi uss nagar tujhay dhooNdhna
kabhi raat bhar tujhay sochna,kabhi raat bhar tujhay dhooNdhna

mujhe jabaja teri justuju,tujhay dhooNdhta hooN maiN ku-ba-ku
kahaN khul saka tere rubaru,mera iss qadar tujhay dhooNdhna

mera khawaab tha ke khayaal thaa,woh urooj tha ke zawaal tha
kabhi farsh per tujhay dekhna kabhi arsh per tujhay dhooNdhna

teri yaad ayee tou rau diye,jo tu mil gaya tu tujhay kho diya
mere silsilay bhi kuch ajeeb haiN,tujhay choRh ke tujhay dhoNdhna

meri nazar ka kamaal hai,ke meri nazar ka jamaal hai
tujhay shair shair maiN sochna,saray-baam-o-dar tujhay dhoNdhna

Re: Kabhi iss nagar tujhay dekhna,kabhi uss nagar tujhay dhooNdhna

I love this ghazal…always a treat to read :):k:

Re: Kabhi iss nagar tujhay dekhna,kabhi uss nagar tujhay dhooNdhna

this is one of my most fav ghazals :)