Kabhi iqrar kar lena kabhi inkar kar lena
kahan se tum ney sekha hai anokha pyaar kar lena
tumhein banhon mein bhar ke sirf yehi pygham dena tha
apney soye jazbon ko zara bedar kar lena
kabhi chahat sey tum maghlob ho kar muskora dena
kabhi kuch sochna aor soch kar inkaar kar lena
kabhi shola kabhi shabnam kabhi shadan kabhi barham
kabhi roona kabhi lahjey ko phir jhankar kar lena
tumhari yeh bolti ankhein yeh gur janti bhi hoon gi
hum aasyon ko aseere naghman guftar kar lena
saleka chahyeh raahe talab mein jinhein marney ka
nahi zeba mohabat ko janoun asar kar lena
mohabat ek naymat hai issey SaDi yeh samajh na
munasib to nahi hoga isey aazad kar lena