Kabhi hasna, kabhi Aansoo bahaana Yaad aaiey gaa
Tumhein woh Pyar ka guzra zamaana Yaad aaiey Gaa
Tumhein phir yaad aaien gee humari shurmgeen nigaahein
Mera woh"Rooth" kur phir muskurana Yaad aaiey Gaa
Chupey gaa Baadlon ki ott mein jub Chaand ka chehra
Dupattey se mera woh “Moonh” chupaana Yaad aaiey Gaa
Barhey gee shaam jub Shafaq ki surkhiyaan le kur
Tu mera woh “Haath” pe Mehndi rachaana Yaad aaiey Gaa
Buhut kuch yaad aaiey gaa tumhein meri judaai mein
Khanakti “Chooriyon” ka Gungunaana Yaad aaiey Gaa
Jhuka paao gey jub tum kissi nazuk si daali ko
“Haiya” ke bojh se sar ko jhukaana Yaad aaiey Gaa
Karakti Bijliyaan maazi ke afsaaney sunaaien gee
Woh darr ke “Baazu” un mein Kapkapaana Yaad aaiey Gaa
Dum-e-Rukhsat ki woh ghariyaan musalsal yaad aaien gee
“Lipatt” kar tum se woh Aansoo Bahaana Yaad aaiey Gaa