Kabhi hunsna kabhi ansoo bahana yaad aaey ga
Tumhey woh piyar ka guzra zamana yaad aaey ga
Tumhey phir yaad aaey gi hamari woh sharmgeen nigahein
Mera woh rooth kar phir muskurana yaad aaey ga
Chupey ga badalou ki o’out mey jub chaand ka chehra
Dupattey sey mera woh munh chupana yaad aaey ga
Barhey gi shaam jub aaey shafuq ki surkhiya ley kar
Tou mera woh haath pey mehndi rachana yaad aaey ga
Bouht kuch yaad aaey ga tumhey meri juddai mey
Khankti chooriyou ka gungunana yaad aaey ga
Jhuka paaou gey jub tum kisi nazuk si daali ko
Hayya key boujh sey sar ko jhukana yaad aaey ga
Karakti bijliyaa maazi key afsaney sunaeey gey
Woh daar key baazoou mey kupkupana yaad aaey ga
Dum-e-rukhsat ki woh ghariyaa musalsal yaad aaey gi
Lipat kar tum sey woh aansoo bahana yaad aaey ga
mairai dil main tairee yadoon kai sayai
hawa jaisai khandar main sarsarai....
nice selection arif...
[QUOTE]
*Originally posted by Guest7777: *
mairai dil main tairee yadoon kai sayai
hawa jaisai khandar main sarsarai....
nice selection arif...
[/QUOTE]
Thanks Guest7777 for your appreciation !
Re: Kabhi hansna kabhi aansoo bahaana !!!
zabardast… beautiful… :k: … aur hmm khair :k:
Re: Kabhi hansna kabhi aansoo bahaana !!!
i have no words to say the beauty of this poem:)
keep it up:k: