kabhi halaat ka bahana tha

kabhi waqt ki rukawat thi..
kabhi halat ka bahana tha..
meri majboriyoun ki wajha ..
aur sazaoun ka bahana tha..
chaltey chaltey thak gaey hum manzil ki talash mein..
palat ker jo dekha to na ghar tha na aashiyana tha..
sadaoun per hum kion calein.lougoun ki baatein kion ker sunein..
meray dukhoun per hansney wala yehi ek zamana tha..
khawab jitnay sajaey they mein ne aankhoun mein..
unhein ek din toot ker bikhar hi jana tha..
gardish-e-halat per ro ro ker hans diyey hum..
chaley jinhoun ne terr un se yarana purana tha..
rahi nahi umeed dil ko mousam-e-bahar ki..
guzar gaya woh waqt jo lagta kuch suhana tha..
kabhi waqt ki rukawat
kabhi halat ka bahana tha
meri majboriyoun ki wajha
aur sazaoun ka bahana tha…

Re: kabhi halaat ka bahana tha

nice :k:

Re: kabhi halaat ka bahana tha

nice :k: