suno jana
yeh sachi baat bhi sun lo
k mere ghar k angan main
tumhari yaad k jugno
buhat be jaan lagtay hain
k tum pay nazm ka likhna
woh apnay azm ka likhna
tumhen ek bazm ka likhna
mujhay ab bore kartay hain
masayel k kayi bachay
meri sochon k angan main
buhat he shor kartay hain
main tum ko yaad karta hon
to mujh say jung kartay hain
buhat saal pehlay
meri maa nay ek khwab dekha tha
mujhay woh khwab lana hai
mere baba k kandhay pay
hamaray bojh ka thaila
bass ab girnay he wala hai
mujhay woh bhi uthana hai
me maa k khwab ki khatir
me ek job ki khatir
sabah ghar say nikalta hon
to sara din pighalta hon
nahi hoti tu sochon main
na tera aks hota hai
waha pay to masayil ka
hamesha raqs hota hai
jisay tum bhook kehti ho
wahan ek shakhs hota hai
wohi ek shakhs meri jan
mujhay sonay nahi daita
tera honay nahi daita
mujhay maloom tha jana
tujhay ek din to khona hai
hamain phir khob rona hai