Kabhi aisa bhi hota hai....

Kabhi aisa bhi hota hai
kabhi miltay hain raahon main
woh saathi chund lamhon kay
basey jatey hain saanson main
bhulana bhi ager chaho
to woh dil say nahi jatey
jinhain hum piyar kertay hain
barey majboor hotay hain
to hum ko chor jatey hain
isay dhoka nahi kehtay
koi shikwa nahi kertay
keh sab majboor hotay hain
dua her pal yeh kertay hain
k phir kisi din safer main
ittafaaqan aa milain hum say

Re: Kabhi aisa bhi hota hai....

nice

Re: Kabhi aisa bhi hota hai…

**woh saathi chund lamhon kay
basey jatey hain saanson main
bhulana bhi ager chaho
to woh dil say nahi jatey
jinhain hum piyar kertay hain

VO WAPAS KION NAHI AATY **:bummer:

Re: Kabhi aisa bhi hota hai…

kyon k woh majboor hoty hain:teary3:

Re: Kabhi aisa bhi hota hai…

wah ji wah.. iss baat ko ek Rikshaw wala yun bayan kar raha tha:

Driver se dil na lagana in ki apni majboori hai
ye bewafa nahi hote inka jana zaroori hai :hehe:

Re: Kabhi aisa bhi hota hai....

nice 1