Us ke naam jissay zindagi mein shayad mein ne sirf aur sirf aansoo hi deyey …
Kabhi aisa bhi hota hai
Zuban kuch keh nahe paati
Magar saari haqeeqat
In aankhoon se ayyaan hoti hai
Issi liye shaayad
Us ne jab sawaal kiya
Ke mujh se bichar kar
Kya haal hai tumhaara
Tu na chaahatay huwe bhi
Kuch na kehtay huwe bhi
Aankhoon se behtay
Do moti
Mujhe door kaheen
Baha kar legaye …