kabhi ai haqiiqat-e-muntazir nazar aa libaas-e-majaaz mein
ke hazaaron sajde taDap rahe hain terii jabiin-e-niyaaz mein
tarab aashanaa-e-Kharosh ho tuu navaa hai maharam-e-gosh ho
vo suruur kyaa ke chhaayaa huaa ho sukuut-e-pardaa-o-saaz mein
tuu bachaa bachaa ke na rakh ise teraa aainaa hai vo aainaa
ke shikastaa ho to aziiz tar hai nigaah-e-aainaa-saaz mein
dam-e-tauf kar mak-e-shammaa na ye kahaa ke vo asr-e-kohan
na terii hikaayat-e-soz mein na merii hadiis-e-gudaaz mein
na kahiin jahaaN mein aman milii jo aman milii to kahaaN milii
mere jurm-e-KhaanaaKharaab ko tere azo-e-bandaa-navaaz mein
na vo ishq mein rahiin garmiyaaN na vo husn mein rahiin shoKhiyaaN
na vo Gazanavii mein taDap rahii na vo Kham hai zulf-e-ayaaz mein
jo main sar-ba-sajdaa kabhii huaa to zamiin se aane lagii sadaa
teraa dil to hai sanam-aashanaaa tujhe kyaa milegaa namaaz mein