Kabhi Aansu Kabhi Khushbu Kabhi Naghma Ban kar

**Kabhi Aansu Kabhi Khushbu Kabhi Naghma Ban kar
Hum Se Har Shaam Mili Hai Tera Chehra Ban kar

Chand Nikla Hai Teri Aankh Kay Ansoo Ki Tarah
Phool Mehkay Hain Teri Zulf Ka Saya Ban kar

Meri Jaagi Hui Raaton Ko Usi Ki Hai Talash
So Raha Hai Meri Ankhon Main Jo Sapna Ban kar

Dil K Kaghaz Par Utarta Hai To Shairon Ki Tarah
Mere Honton Pay Machalta Hai To Naghma Ban kar

Raat Bhi Aaye To Bujhti Nahin Chehray Ki Chamak
Ruuh Main Phail Gaya Hai Woh Ujala Ban kar

Mera Kya Haal Hai Yeh Aa Kay Kabhi Dekh To Lay
Jee Raha Hoon Tera Bhoola Hua Vaada Ban kar

Dhuup Men Kho Gaya Vo Haath Churra Kar Kahin
Ghar Say Jo Saath Chala Tha Mera Saya Ban kar…!**

Re: Kabhi Aansu Kabhi Khushbu Kabhi Naghma Ban kar

Behropiya shaam

Re: Kabhi Aansu Kabhi Khushbu Kabhi Naghma Ban kar

:k:

Re: Kabhi Aansu Kabhi Khushbu Kabhi Naghma Ban kar

**Dhuup Men Kho Gaya Vo Haath Churra Kar Kahin
Ghar Say Jo Saath Chala Tha Mera Saya Ban kar...!

w**oh khud kisi saey ki talash mein nikal gya ho ha

Re: Kabhi Aansu Kabhi Khushbu Kabhi Naghma Ban kar

Bohat romantic hay.... bohat achha