**
Kabhi Aansoo Kabhi Kushboo Kabhi Nagma Bankar
Hamse Har Shaam Mili Hai Tere Chehara Bankar
Chand Nikala Hai Teri Aankh Ke Aansoo Ki Tarah
Phool Mehake Hain Teri Zulf Ka Saaya Bankar
Dil Ke Kagaaz Pe Utar_ta Hai Tu Sheron Ki Tarah
Mere Honton Pe Chamakta Hai Tu Nagma Bankar
Mere Kya Haal Hai Yeh Aake Kabhi Dekh Toh Le
Jee Raha Hon Tera Bhoola Hua Vaada Bankar
**