**
Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi naghma ban kar
Hum Se Her Shaam Mili Hai Tera Chehra **ban kar
**Chand Nikla Hai Teri Ankh Ke Ansoo Ki Tarah
Phool Mehkay Hain Teri Zulf Ka Saya **ban kar
**Meri Jaagi Hui Raaton Ko Usi Ki Hai Talash
so raha hai meri ankhon Main Jo Sapna **ban kar
**Dil k Kaghaz par Utarta hai tu sh’eroN Ki Tarah
meray Hontoon Pay machalta hai tu Naghma **ban kar
**Raat bhi aaye to bujhti nahin chehray Ki chamak
rooh maiN phail gaya hai woh Ujala **ban kar
**
****Mera Kiya haal hai yeh aa k Kabhi dekh to lay
Jee raha hooN tera bhoola Hhuwa w’ada **ban kar
**dhoup Main Khou Giya Woh Haath chuRa kar ‘Rashid’
ghar say Jo saath chala tha mera saaya **ban kar