Kabhi aansoo, kabhi khushbo, kabhi naghma bun ker

**Kabhi aansoo, kabhi khushbo, kabhi naghma bun ker
Hum se her shaam milii hai tera chehra bun ker

Meri jaagi hoee raaton ko ussi ki hai talaash
Su raha hai meri ankhon mein jo sapna bun ker

Raat bhee aay tu bhujhti nahi chehre ki chamak
Rooh mein phail gaya hai wo ujala bun ker

Dhoop mein kho gaya wo haath chura ker Rashid
Ghar se jo saath chala tha mera saya bun ker..**

Re: Kabhi aansoo, kabhi khushbo, kabhi naghma bun ker

Re: Kabhi aansoo, kabhi khushbo, kabhi naghma bun ker

**Dhoop mein kho gaya wo haath chura ker Rashid
Ghar se jo saath chala tha mera saya bun ker..

:lajawab:

ye Rashid kon hai? wohi wala to nahin jiss ne kaha tha:

**Parhta Tha Main Namaz Samajh Kar Jisay Rasheed,
Phir Yun Hua K Mujh se Qaza Ho Gaya Wo Shakhs!!!

Re: Kabhi aansoo, kabhi khushbo, kabhi naghma bun ker

No idea, is it Noon meem rashid?

Re: Kabhi aansoo, kabhi khushbo, kabhi naghma bun ker

ok, then that guy is someone else.. as He is Rasheed not Rashid

Re: Kabhi aansoo, kabhi khushbo, kabhi naghma bun ker

*Dhoop mein kho gaya wo haath chura ker *Rashid
Ghar se jo saath chala tha mera saya bun ker..

**dhoop sakht ho gi na

Re: Kabhi aansoo, kabhi khushbo, kabhi naghma bun ker

Bohat Umdah…:k: