Kabhi aakar mujhe hairat mein daalo....

**
kahin aisa na ho daaman jalaa lo
hamare aansuon par Khaak Daalo

manana hi zaroori hai to phir tum
hamein sab se khafaa hokar manaa lo

bahut roi hui lagati hain aankhein
meri Khaatir zaraa kaajal lagaa lo

akelepan se khauf aata hai mujh ko
kahaan ho ai mere Khvaabon Khayaalon

bahut maayuus baithaa huun main tum se
kabhii aakar mujhe hairat mein daalo **

Poet: Liyaqat Ali Aasim

bahut maayuus baithaa huun main tum se
kabhii aakar mujhe hairat mein daalo

itnay mayoos na hoey chalo hum he a jatey :p..hayran na na hoey gha:p

[QUOTE]
*Originally posted by Koyal: *
bahut maayuus baithaa huun main tum se
kabhii aakar mujhe hairat mein daalo

itnay mayoos na hoey chalo hum he a jatey :p..hayran na na hoey gha:p
[/QUOTE]

:D

jee nahi aap aaiye welcome :D