kabhi aah lab pe machal gai, kabhi ashk aaNkh se Dhal gaye ..

kabhi aah lab pe machal gai, kabhi ashk aaNkh se Dhal gaye .. yea tumharey Gham ke chiraaGh hain, kabhi bujh gaye kabhi jal gaye ..

main Khayaal-o-Khwaab ki mehfilain na ba-qadr-e-shauq saja saka ..
tumhari ik nazar ke saath hi, mere sab iraadey badal gaye ..

kabhi rang main kabhi roop main, kabhi chhaaooN main kabhi dhoop main ..
kaheen aaftaab-e-nazar hain wo, kaheen maahataab main Dhal gaye ..

jo fanaa huwey Gham-e-ishq main, unhain zindagi kaa na Gham huaa ..
jo na apani aag main jal sakey, wo paraai aag main jal gaye ..

hey unhain bhi meri tarah junooN, to phir un main mujh main ye farq kya ..
main giraft-e-Gham se na bach saka, wo hudood-e-Gham se nikal gaye ..:teary1:

by
Rashid Kamil

Re: kabhi aah lab pe machal gai, kabhi ashk aaNkh se Dhal gaye ..

Beautiful ghazal:k:…thanx for sharing:)

^-- Shukraaan :teary1:

:k: bohat khoob thanks 4 sharin…:slight_smile:

instant shukriya :slight_smile:

PS: —> :teary1:

Re: kabhi aah lab pe machal gai, kabhi ashk aaNkh se Dhal gaye ..

very very Nice :k:

kabhi aah lab pe machal gai, kabhi ashk aaNkh se Dhal gaye ..
yea tumharey Gham ke chiraaGh hain, kabhi bujh gaye kabhi jal gaye ..

hey unhain bhi meri tarah junooN, to phir un main mujh main ye farq kya ..
main giraft-e-Gham se na bach saka, wo hudood-e-Gham se nikal gaye ..

...............

THanks for sharing Azam. EIsay wisay exams ki tayari naheen hoti beta.

very Nice ,Thanks for sharing :)

hasb e mahmool yaar jee aapki choice is superb 2 say da least:).
sun ke I mean paRh ke dil baagh baagh ho geyaa.
wslaam.

:slight_smile: bhut khoob :k:
thxs 4 sharing :slight_smile:

Thanks a lot Moon face ji, GuL-e-Tasbeeh, nikii si larki or janab MAREEZ_E_ISHQ sahab apki reply ka andaaz hamesha hi bohot unique hota he :~)

Aunty ji .. exam ki tayaari hi hoo rahi hey .. isi liye to sirf yahan nazar aa raha hoon :frowning:

neways pata nahi kiyon … jab bhi parhney bethta hoon mera soul lost kiyon hojata hey ??? :teary1:

nice:k: