Kabhi aah lab par machal gayee

***kabhi aah lab per machal gai
kabhi ashk aankh se dhal gae

woh tumhare gham k chiragh the
kabhi bujh gae kabhi jal gae

mai khuab o khayal ki mehfilen
na kabhi souq se saja saka

teri aik nazar k sath hi
mere sab irade badal gae

jo fanaa hue gham e ishq
unhe zindagi ka na gham hua

jo na apni aag mai jal sake
woh parai aag mai jal gae

tha unhe bhi meri tarah junoon
to un mai mujh mai farq kiya

mai girft e gham se na bach saka
woh hudood e gham se nikal gae***

Re: Kabhi aah lab par machal gayee

Wah wah kia aaho-o-baka macha di

Re: Kabhi aah lab par machal gayee

:lajawab:

Good One Dania..:k:

Re: Kabhi aah lab par machal gayee

wow!!

rhyming is butiful!!

Re: Kabhi aah lab par machal gayee

bohat ache

Re: Kabhi aah lab par machal gayee

nice One Dania..:k:

Re: Kabhi aah lab par machal gayee

i m agree 2 sannan bt ahobaka bhi kai qism ki hoti hai, iss ka maza aya hai.

Re: Kabhi aah lab par machal gayee

Gud one....!

Re: Kabhi aah lab par machal gayee

WAH WAH....KIA ZABARDAST GHAZAL SHARE KI AP NE...GHULAM ALI KI AWAZ NE IS KO CHAR CHAND LAGA DIYE

Re: Kabhi aah lab par machal gayee

:)
<!--Session data-->