kabh mein yaad aao to

**Kabhi main yaad aaoon tou **
**Kabhi tanhai ki raatain
Tumhain ziada sataein tou
Aur jugnoo lout jaye tou
Kabhi jab dil bhi bhar jaye
Koi jab sunna na paye tou
Jab Koie tum se rooth jaaein tou
Kabhi jab khud se lar lar kar
Thakan se choor ho jao
Kabhi chahtay huay bhi khud akelay
Ro na paao tou
Apni aankhon ko band karna
Mujhay aawaz de dena
Aur phir meray tasawwur se
Jo chaho batain keh dena
Meray kaandhay pe sir rakh kar
Tum jitna chaho ro lena
Phir khud main jab loat jao tou
Us he duniya chalay jana
Magar bas itna kehna hai
Ke jab bhi dukh ya khushiyon main
Hamain dil se pukaro gay
Hamain tum saath pao gay…
Mujhay bas itna kehna hai
Kabhi main yaad aaoon tou
**

Re: kabh mein yaad aao to

Wahhh Sunny ji ,, Buhat khoobb..

Re: kabh mein yaad aao to

kool sunny BoY

Re: kabh mein yaad aao to

thxxx being lonely and sara geee