Peechey reh jaaney waloN ko, dil is tarha samjhata hai
Jo us ke maan ney waley hein, un sab ko nawaza jata hai
Tu bhi to usi ka banda hai, who kaisey tujh ko bhooley ga
Yeh dair sawair to hoti hai, lekin woh karm farmata hai
Tu us ki nigah-e-rahmat se mayoos na ho, dil tang na kar
Mayoosi kufr-e-muhabbat hai, kyooN is dozakh mein jata hai
Ulfat to sabr se milti hai, rahat to shukr mein hoti hai
Is sabr-o-shukr ki ne’mat se kyooN daman-e-ishq bachata hai
Who izn-e-muhabbat dai ya na dai, yeh us ki apni marzi hai
Tu kon hai jo tajweez karey, kab kis ko nawaza jata hai
Tu laaiq hai ya na-laaiq, is baat se koi behes nahi
Us dar se nawazish ka naama, who chahey jisey mil jata hai
Yeh wasl-o-firaq, yeh rahat-o-gham, yeh lazzat-o-karb ke pemaaney
In aarzi rishtoN se bhi kahiN Ikhlas ko napa jata hai
Ikhlas bunyadoN par hi to Tawhid-e-muhabbat qayam hai
Yeh Wasl-o-firaq, bekaar ki baat, kyooN is mein dil uljhata hai
Tu us ka ban, khalis us ka, phir dekh who kya kya karta hai
Yeh us ke shayan-e-shan nahi, keh jab koi us key qadmoN mein
JabeeN apni, anaa apni, shan apni, hasti apni
Sab kuch wahiN pe pesh kar ke, us dar ka bhikari ho jaye
Phir who apney us bandey ko, koi choti cheez ata karey?
Yeh aisa anokha badshah hai, jo apney khazaney luta ta hai
Yeh khaliq hamaara aisa hai, jo nawaazish mein Shakur bhi hai
Tu us ki muhabbat paida kar, phir dekh karishma ulfat ka
Dilbari ke taqazey poorey kar, aur us ko dil ka sajan maan
Yeh us ka apna tareeqa hai, who nukta nawaazi kaisey karey
Kis tarha aks aur ayeena, do jaaN yak dil ban jata hai
Phir Qalb pe roo-e-jana ke anwaar tajalli kartey hain
Ghar baithey deeda-e-beenaayee, deedaar muyassir ata hai
Dil hi ghar hai, dil hi dar hai, dil ke waali se dheyaan laga
Jab dil ka dareecha khul jaaye, to sara safar kat jata hai
Phir waqt ke saath us insaaN ko, bhagna nahi par jata hai
Phir waqt usi ka hota hai jo apney Rub ka ashiq ho
Aye Sehmi-e-nadaaN, jab tak yeh baat samajh aa jaye gi
To yeh bhi samajh aa jaye ga, kab waqt-e-nawazish ata hai
(Imtiaz Anwer Sehmi)___KK
Re: Kab Waqt-e-Nawazish Ata Hai
Let me confess...... I am not a poet. In the above poetry.. or whatever, I have focused on idea and not the rules of poetry as I am not acquainted with them.
Re: Kab Waqt-e-Nawazish Ata Hai
Good work done! :k:
Re: Kab Waqt-e-Nawazish Ata Hai
be-shak...
Re: Kab Waqt-e-Nawazish Ata Hai
Aap Teeno Sach Aur Sahi Farma rahe Hain !
Re: Kab Waqt-e-Nawazish Ata Hai
Ulfat to sabr se milti hai, rahat to shukr mein hoti hai
Is sabr-o-shukr ki ne’mat se kyooN daman-e-ishq bachata hai
bohat umda kaawsih hai khalu k carry onn :)
Re: Kab Waqt-e-Nawazish Ata Hai
Peechey reh jaaney waloN ko, dil is tarha samjhata hai
Jo us ke maan ney waley hein, un sab ko nawaza jata hai
buhat khooobbbbb keep it up
Re: Kab Waqt-e-Nawazish Ata Hai
umda