Kab tak woh nafrat karte hain

hadd na thi uski mohabbat ki mere khatir,
aaj unhe mohabbat ke naam se nafrat hai.,
kya manzar pesh aaya hoga mere sanam ke sath,
ke aaj unhe ish kadar humse nafrat hai.,

kabhi wo door jane ki baat se bhi darte the,
aaj unhe hamare kareeb aane se nafrat hai.,
kabhi yaad karte the to khana-pina bhul jate the,
aaj unhe hamari yaado se bhi nafrat hai.,

khwabo ki aise badhi aabadi unki zindagi me,
ke har khwab unhone hamare hi saath dekha tha.,
kitne shouk se hume wo apna khwab sunate the,
aaj unn khwabo se bhi unhe nafrat hai.,

dekhna hai kab tak wo nafrat karte hai,
unki to nafrat se bhi hume pyar hai.,
kyon na ho unse bepanah pyar hume,
pyar bhi to unhi ne karna sikhaya hai..

Re: Kab tak woh nafrat karte hain

:( sad one

Re: Kab tak woh nafrat karte hain

Boredman its awesome as usual .....