socha hai ab paar utarenge ya takraa kar doob marenge
toofaanon ki zad pe safeena kab tak aakhir kab tak
ek maheene ke vaade par saal guzaara phir bhi na aaye
vaade ka ye ek maheenaa kab tak aakhir kab tak
saamne duniya bhar ke Gam hain aur idhar ik tanhaa ham hain
saikadon patthar ik aainaa kab tak aakhir kab tak
**
![]()
- Kashif Indori -
