kab nikalta hy koi, dil mein utar jaany ke baad

jab kabhi khud ko yeh samjhao’N, keh tu mera nahe
mujh mein koi cheekh uthta hy, nahe, aesa nahe

iss gali ke doosri jaanib, koi rastaa nahe

tum samajhty ho, bichar jany se mitt jata hy ishq
tum ko iss daria ke gehraai ka andaza nahe

yoo’N tarashoo’N ga ghazal mein, tery paikar ke nuqoosh
wo bhi dekhy ga tujhy, jis ne tujhy dekha nahe

unn sy mil kar bhi kahan mitt ta hy, dil ka iztaraab
ishq ke deewaar ke dono taraf, saya nahe

Re: kab nikalta hy koi, dil mein utar jaany ke baad

:teary1: :crying:

bohat zabardast :clap:

Re: kab nikalta hy koi, dil mein utar jaany ke baad

Boht alaaaaa

Re: kab nikalta hy koi, dil mein utar jaany ke baad

[QUOTE]
jab kabhi khud ko yeh samjhao’N, keh tu mera nahe

mujh mein koi cheekh uthta hy, nahe, aesa nahe

[/QUOTE]
:(

Re: kab nikalta hy koi, dil mein utar jaany ke baad

kab nikalta hy koi, dil mein utar jaany ke baad
iss gali ke doosri jaanib, koi rastaa nahe

Dil bund gali sahi, lekin dil se kai raaste bhi nikalte hain…

unn sy mil kar bhi kahan mitt ta hy, dil ka iztaraab
ishq ke deewaar ke dono taraf, saya nahe

Phir bhi log ishq main mubtala hote hain :hmmm:

Re: kab nikalta hy koi, dil mein utar jaany ke baad

temporarily it gives a good feeling