GupShup join karnay say pehlay humain nahi maloom tha … keh hum tuk bandhi bhi kar laytay hain … I am not really sure keh woh kia cheez hay jo humain inspire karti hay … bus eik naam ka hawala hay .. usssi naam key hawalay say filbadeh aap sub ki nazar kartay hain.
Yeh dil bhi, kitna jhooTa hay
Kab ishq, ka tasalsul TooTa hay
jism o jaaN kay is safar main
Woh kab, hum say rooTa hay
Jab aas nahi, koi piyass nahi
koi or bhi dil ke pas nahi
Phir bhi man mandir adhoora hay
Kiyon-kar saat humara choota hay
Dard e Dil saat dayna
Eik yaad or seh layna
Is yaad nay jeewan looTa hay
Woh kab hum say rooTa hay
Yeh dil bhi kitna Jhoota hay
Kab ishq ka tasalsul TooTa hay
I needed words to express my feelings to someone... and when i saw this again i dont think i can find anything better thn this to tell someone special that how i feel... you have made my life easy.... thanks
[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *
Azad jee... Thanks
I needed words to express my feelings to someone... and when i saw this again i dont think i can find anything better thn this to tell someone special that how i feel... you have made my life easy.... thanks
[/QUOTE]
Zara nawazi hay aap ki ... aap achay lafzon main yaad rakhain hum is qabil to nahi