kaash tu kary kabhi ulfat ka izhaar
zindagi meri main bhi aa jaai bahaar
kaash teray hontoN say bhi kabhi niklaiN dua’eiN
mahak uThaiN meri rahooN main har su gulzaar
kaash tu khayaaloN maiN hi day mujh ko dilaasa
dil ki bai-chaini ko aai kuch to qaraar
kaash kabhi raghbat say pukaary mujh ko
dasht-e-dil main paR jaai thanddi phuwaar
kaash kabhi sang chalnay ki kary tu inayat
apni palkoN say chunoN teri raahoN kay maiN sub khaar
kaash tu kary kabhi mujh pay bharosaa
basir-o-chashM uThaa loon tery sub baar
kaash tu lai kabhi zindaan-e-mohabbat ki khabar
ho chukay haiN hum bhi teri ulfat main giriftaar
kaash kabhi mujh say kary tu koi aehad
taa dam-e-mout karoN main wafaa ka intezaar
kaash sakhawat pay ho kabhi maaeil tera dil
kasa lai kay phiray galyooN maiN ghalib khud-daar