*** KAASH TUM LOUAT AATEY
Kaash tum yun haath churaa ker na jaatey....or louat aatey
meree her shaam ko taveel or raat ko sieyaah na kertey
chaandni mearey aangan say kinara kush na hoti
tootay houay sab sitaaroon ka wo anbaar
jin ko tearey liey main ney lrieyoon main pirooya thaa
bhikhr rahey hain wo sab........
mearey haath say miti ki terha.........
mearee aankhoon k dreechoon ka wo mehal mearee aankhoon k
sealaab main behtaa ja raha hey..........
kaash mearey burbaad honey ka nazaara tum deakh paatey...........
or louat aatey..........................................................................................
mujh say doour honey ki kia waja ho sakti thee
her baat ki tarha es per bhe tu baat ho sakti thee
es turhaa haath churaya k mearey haath ki sab lakeerain he khurch
daali tum ney...............
main ab bhe her shaam apney haathoon main wohe lakeerain
dhoondta hoon.............jin ko deakh ker tum keahti thee..............
deakhoo ye hamarey saath ki lakeerain hain...............
kitni taveel hain na?
kaash es jhoot ko tum such main badal paatey..........................
OR LOUAT AATEY...................OR LOUAT AATEY.
***