Mujh ku ruswa sar e mehfil tu na karwaya karey
kaash ansoo meri ankhoo mei hi rah jaya karey
aye hawa meiney tu bas uska pata pocha tha
ab kahani tu na har baat ki ban jaya karey
bas buhat dhiek leye kawab suhaey din key
abb woh batoun ki rafaqat sey na bhalya karey
eik musibat tu nahi toti so iss dil par
jis qayamat ney guzarna hai guzar jaya karey
dil ney soch leya hia key ab yeah zalim dunya
ju bhi karna hia karey mujhey na uljhaya karey
jiss key khawabon ku mei ankhoon mei saja kar rakhoon
iss ki kushboo kabhi mujh ku bhi mahkaya karey
Bohat hi ummda Nzai83 sahiba, kya khoob likha hai. :k:
Jidhar bhi jaaun tau ehsaas sa hota hai mujhe Keh jaisey saaya koi saath mere chalta hai Baithey baithey jo kisi soch mein par jata hoon Tera wajood mere aas paas rehta hai