Ik dost main nay banaya tha
Dil main usay basaya tha
Usay acha sathi samjha tha
Usay hamdard apna jana tha
Per mujh ko ye maloom na tha
Dil ghair say us nay lagaya tha
Mujhay hamdardi ka dawa tha
Wo her dam mujh say nalan tha
Jab us ki nazar say milti thi
Meri nazar jhuk jati thi
Kuch keh bhi na sakta tha us ko
Zaban si yun ruk jati thi
Janay kia phir baat hue
Wo mujh say uon naraz hua
Sab gussa us ka bikhar gia
Phir bujha bujha sa rehnay laga
Usay sathi us ka chor gya
Dil kuch aisay us ka tor gya
Na mera hua na us ka hua
bus Yadon ka samaan chor gya…