**kaanto.n se guzar jaanaa sholo.n se nikal jaanaa
phuulo.n kii bastii me.n jaanaa to sambhal jaanaa
din apanay chiraaGo.n kii maanind guzarate hai.n
har subah ko bujh jaanaa har shaam ko jal jaanaa
bachcho.n hii si fitrat hai ham ahl-e-muhabbat kii
zid karanaa machal jaanaa phir Khud hii sambhal jaanaa
vo shaKhs bhalaa meraa kyaa saath nibhaayegaa
mausam kii tarah jis ne siikhaa hai badal jaanaa**
Sagar Azmi
Nayab
2
Bohot khoob ..
Wese Gulshan jee ne kuch keh to nahin diya..:nahnah:
nie nie wo tu mujh se buhat piyar karti hai 
ye tu purani yado.n ki baat hai 
Nayab
6
Purani YadooN ki batain..Teheer jaheiN abhi Gulshan jee ko batati ho..pher dekhteiN he ke woh kitna pyaar karti he apse:nahnah:
yar college k zamane mien kaun ishq nahi karta 
ab tu bas G hi G hai 
Nayab
8
[QUOTE]
*Originally posted by Zakhmi Umar: *
yar college k zamane mien kaun ishq nahi karta ;)
ab tu bas G hi G hai :)
[/QUOTE]
Nahin jee esha kuch nahin he acha...College me siraaf pardne jahteiN he..!
yar college ka zamana bola hai mien ne , college ka zamana matlab jab mien student thah 
zaroori nahi k college mien hi ishq kiya ho 