kaam hi kiya hai musafir ko guzarnay kay siwa
sabhi aaraam mayassar hain teharnay kay siwa
l
ehr uthti hai na darya main bhanwar parta hai
koi chah na raha paar utarnay kay siwa
kaash waaz nay mohabbat bhi sikhai hoti
aur kiya kejiyah Allah sey darnay kay siwa
husn ka farz hua karti hai aaraish-e-husn
subha kiya karti hai har roz sanwarnay kay siwa
umar guzri hai uss insaan kay tajussas main Nadeem~
aur bhi kaam jo karleta ho marnay kay siwa