Kaab gunahooN say kinara karoon ga main Ya Raab

Listen

Kaab gunahooN say kinara karoon ga main Ya Raab
Naik ay meray Allah main banooN ga ya Raab
Kaab gunahoooN kay meraz say main shifa paooN ga
Kaab main bimar Madinay ka banooN ga Ya Raab
Ger teray piyar ka jalwa na raha pesh-e-nazar
sekhtaiN nez’a ki kionker main sahooN ga Ya Raab
Naza kay waqat mujhay jalwa-e-Mahboob dikha
Allah…………..
Tera kiya jayai ga main shaad maroon ga Ya Raab
Qabar main ger na Muhammad kay nazaray hooN gai
Hasher taak kesay main phir kesay tanha rahooN ga Ya raab
Dang machir ka bhi mujj say to saha jata nahiN
Qabar main bicho kay dang main sahooN ga kesay
Ha’i mamooli si garmi bhi sahi jati nahiN
Garmi-e-hasher main sahooN ga kesay Ya Raab
Qabar Mahboob kay jalwooN say basa dai Malik
Ya karam ker dai to main shaad rahooN ga Ya Raab
Dard-e-ser ho ya bukhar ayai taRap jata hooN
Main jahanum ki saza kesay sahooN ga Ya Raab
Ajj darta hooN …….jo khoolai hasher main
AH! Rooswai ki afat main phansooN ga Ya Raab
Ger Khuda naraz huwa meri halaqat ho gi
Hai main nar-e-jahanum main jalooN ga Ya Raab
---------------------Or sada kai liyai razi ho ja Allah
Ger karam ker dai to Janat main rahooN ga Ya Raab
Ger Khuda Naraz huwa to meri halaqqat ho gi
Ha’i main naar-e-jahanum main jalooN ga Ya Raab
Tu hai Mazi wo haiN Qasim kiya JahaN ki perwa
Teray Mahoob kai tookRooN pai palooN ga Ya Raab
Dai dai mernay ki Madeenai main sa’adat dai dai
Kis tarah sin’nd kay jangal main maroon ga Ya Raab
Haaj ka her saal sherf dai day to Makai aa ker

Kash her saal Madeenay ki baharaiN dekhooN
Sabz gumnbad ka bhi deedar karooN ga Ya Raab


some lines are missing coz I didn’t understood:o plz when u listen post them.

Nice! :)

Allah say lou lagayeay rakheay, woh Samee aur Baseer bhi hai. :)

^^ Thanks. Theak kaha ap nay WG. :)

Wo dekhta hai Wo Sunta hai, wo saab janta hai, Wo Rehman hay Wo Kareem hai, Wo Ghafoor hai, Wo Ghafar hai, Wo Jabar bhi hai Us sai darna bhi chahiai sehih ma'nooN maiN.