Main apna aaj apna kul Tumhare naam karti hoon:love:
Main is Jeevan ka hur aik pal Tumhare naam karti hoon:2guns:
Hawa-ein, Surdiyan, gurmi, baharein, barishein, Jara:roman:
Main har Mosum ka har har pal Tumhare naam karti hoon
Sitare, Titliyan, jugno, Gul-o bulbul, dhunk, khushboo
Ye saray Husn ki chulbhal Tumhare naam karti hoon:soldier:
Mera guzra howa Kul tu Mere Mazi ka hissal hai
Main apna aaj apna kal Tumharay naam karti hoon
Barasta, bheegta mosum hai Kamzori Meri laikin
Main yeh Sawan, ghata Badal Tumharay naam karti hoon:soldier:
Tumharay Bin yeh Har Aik pal Mujhe Baychain rakhta hai:smokin:
MainApna Dil jo hai Baykul Tumharay naam karti hoon !!;)***
:k:
LOlzzz... Lovely Poetry... per aapnay ittnay smiles use kerkay nazm ki feeling khatam kerdi hai....
anyway...
Thanks for your contribution
- Kµçh î§ qåÐå® ßhî å§ååñ ñåhîñ *
[size=4]Kuch is qadar bhi asaan nahin mujh ko bhulaana jaanaa
Apne is dil se mujh ko nikalna jaanaa
Kabhi aaenay ke samne apni zulfain jo sanwarogi
Tumhein mein tab bahut yaad aaonga jaanaa
Jab baadal suraj ko apni baahoon mein chupa raha hoga
Tab kisi ke hath thaamne per yaad aaonga jaanaa
Kabhi muskura kar kisi se baatain karogi jab tum
Tab meri muskurahatain tum ko satayengi jaanaa
Kabhi ounchi awaaz mein kisi ko pukarogi jab tum
Mera lab per ungli rakh kar chup karana yad ayega jaanaa
Jab kisi dukh mein aankh ashkoo se bhar aayegi
Tab kisi ka haath sar per rakh kar chup karana yad ayega jaanaa
Jab mein nahee honga tumhare saath tab
Meri har baat tum ko sataayegi jaanaa**[/size]
thathak rahii hoon...................
manzar hai vahii thathak rahii hoon
hairat se palak jhapak rahii hoon
ye tuu hai ke meraa vaham hai
band aankhoon se tujh ko tak rahii hoon
jaise ke kabhii na thaa taarruf
yoon milate huey jhijhak rahii hoon
pahachaan main terii roshanii hoon
aur terii palak palak rahii hoon
kyaa chain milaa hai sar jo us ke
shaanon pe rakhe sisak rahii hoon
ik umr hu_ii hai Khud se ladatte
ander se tamaam thak rahii hoon
{Parveen Shakir~}
- Hµm †åî®ëý Hå†h Þë †åh®ëë® Hòwå K宆ëý †hëý *
Hum Ko Zamaney Ne Gustakh Banaya Hai Dost
Hum To Yun Chup They K Tasveer Howa Kartey They
Itna Acha To Na Tha Naam Hamara Laiken
Hum Tairey Hath Pe Tahreer Howa Kartey They
~ zåålîm †håå wòh ~
zaalim thaa woh aur zulm kii aadat bhii bahut thii
majabuur thay ham us se, muhabbat bhii bahut thii
us but ke sitam sah ke dikhaa hii diyaa ham ne
go apanii tabiyat mein baGaavat bhii bahut thii
vaaqif hii na thaa ramz-e-muhabbat se vo varna
dil ke liye thorii sii inaayat bhii bahut thii
yuuN hii nahii mashhuur-e-zamaanaa meraa qaatil
us shaKhs ko is fan mein mahaarat bhii bahut thii
kyaa daur-e-Gazal thaa ke lahuu dil mein bahut thaa
aur dil ko lahuu karane kii fursat bhii bahut thii
har shaam sunaate thay hasiinon ko Gazal ham
jab maal bahut thaa to saKhaavat bhii bahut thii
**
~ Këhñî Håî Éåk ßåå†...!!!! ~
Kehni hai ek baat magar jane deejiye
Bus jo gizr rahi hai, guzr jane deejiye
nice onee :k:
Re: * Hµm †åî®ëý Hå†h Þë †åh®ëë® Hòwå K宆ëý †hëý *
[QUOTE]
*Originally posted by Rabia Chaudhry: *
Howa Kartey They
[/QUOTE]
Bohat acha shair hay:)
Thankx 4 sharing.
Re: Måîñ åþñå ååj åþñå kµl †µmhå®ë ñååm k宆î hòòñ
[QUOTE]
*Originally posted by Rabia Chaudhry: *
Main apna aaj apna kul Tumhare naam karti hoon
[/QUOTE]
:)
\\ Mòhåßßå† Ãîk Håqëëqå† Håî ///
Mohabbat aik haqeqat hai ' ye afsana nahin hota
Kabhi apni khushi se koi dewana nahin hota
Re: ~ Këhñî Håî Éåk ßåå†...!!!! ~
[QUOTE]
*Originally posted by Rabia Chaudhry: *
Kehni hai ek baat magar jane deejiye
Bus jo gizr rahi hai, guzr jane deejiye
[/QUOTE]
wah kiya baat hay:)
Wah!
{ ( Ãå¶å® Mµjh Šë Mµhåßßå† Håî ) }
Aagar mujhe se Mohabbat hai ' mujhe sab apne gam de do
In ankhoon ka har ansoo ' tumhain meri qasam de do
Wah..
opes
opes sorry janab aahinda aysi gulti nahi ho gi,..hehhehe,..symbols add kerni ki;)
Funny,..lol
COMEDY SHAIRS
1 Tu mere dil mein aise samaayi hai
Jaise baajray ke khet mein bhains ghus aayi hai
2 Jab tota (parrot) hua dirty, Tote se boli maina
Don't you worry, Surf Excel hai na
3 Majnu Laila ke baal pakad ke bola
Moyee kitne din se sar nahin dhoya
4 Hum aapke dil mein rahate hai
Aur Karaya (rent) bhi nahin dete hai
5 Zor ki baarish Makes me wonder
Is this what they call, Taste the thunder?
6 Ae husn kee malka aur baharon ki shaan
Jeeye jawan jeeye kisan
7 aapne mere man se khela
aapne mere tan se khela
aapne mere dhan se khela
well played! well played! well played!!
8 Main hu yahan, tu hai wahan
Main hu yahan, tu hai wahan
Lifebouy hai jahan, tandurusti hai wahan
wah*wah*wah*wah
9 Dibbe pe dibbe, dibbe pe dibbe
Dibbe pe dibbe, dibbe pe dibbe
DIBBE pe dibbe, DIBBE PE dibbe
Are wah, kya balance hae Yaar!
10 Aasmaan mein ud raha hai kabootar
Aasmaan mein ud raha hai kabootar
Flutter Flutter, Flutter Flutter
wah*wah*wah*wah
11 Jee karta hai ki teri nili nili
aankhon main dub jaoon
Jee karta hai ki teree nili nili
aankhon main dub jaoon
chapaaak!!!!!
12 Voh Sadak Ke Us Paar Thi
Hum Sadak Ke Is Paar The
Kuch Hum Aage Badhe, Kuch Voh Aage Badhi
Hum Kuch Aur Aage Badhe, Voh Bhi Kuch Aur Aage Badhi
Hum Aur Bhi Aage Badhe, Voh Bhi Aur Aage Badhi
Ab Hum Sadak Ke Us Paar Hai, Aur Voh Sadak Ke Is Paar hai
13 Tumko dekha to yeh khayaal aaya
Ke kal raat maine itna kyon khaya.
14 Khud ko kar buland itnaa..
Ke Himaalay ki choti pe jaa pahunche..
aur khuda tumse puche..
Abe gadhe... ab utrega kaise '
15 ladka bola :
kash ein hasinao ke baap mar jate,
bahana gam ka hota, hum inke ghar to jaate.
Ladki boli:
Bewkoof, Yeh sochana bhi paap hoga,
kisi din tu bhi kisi hasina ka baap hoga.
Irshaad.Irshaad
16 Ladki boli:
Chandni chaand se hoti hai,
sitaron se nahi,
Mohabbat ek se hoti hai,
hazaaron se nahi.
Ladka bola :
Chandni agar chaand se hogi to
sitaron ka kya hoga,
Mohabbat agar ek se hogi to
hazaron ka kya hoga.
Mukkarrar Mukkarar.
17 Dharti so rahi hai, Aasman so raha hai
Dharti so rahi hai,Aasman so raha hai
Nonsense! yeh sab kya ho rahha hai
wah*wah*wah*wah
18 Teray husn ki kia taareef karoo?tera bander jaisa mu
Teri zulfo ki kia tareef karoo?teray ek ek baal pe joon
19 Aaj bagh may kali hai, kal gulaab ho ga
Mujh se shadi karlo,tum ko sawab ho ga
20 Hathi nay kaha hathni ki kabar per ja kar
Sadqay jaoo tumhari patli kamar per
21 Tum bhi besahara,hum bhi besahara
Fittay mu tumhara,fittay mu hamara
22 Hum nay usay dekha angle badal kar
Us nay hamay mara sandle badal kar
23 Dil kay armaa aanso'oo may bah gaye
Un kay bachay hamay mamu kah gaye
24 Hum nay tumhay dil diya dildar samajh kar
Tum kha gaye is ko naswaar samajh kar
25 Dabbay may dabba dabbay may khargosh
Nana nay aankh mari nani behosh
26 Ishq kay samander main ghota lagaya
Pani both thanda tha main bahar nikal aya
/\/\/\ Teri Yaad aa gai /\/\/\
Teri yaad aa gai ' gam khushi main dhal gaye
Ek charaag kiya jala ' soo charaag jal gaye;)
thanxoo
thanx jiiiiii