** palat kar dekhna chaho
tou nafratoon say idher
dino ki rakh pay raatoon ki yakh hateki pay
hawa k nachtay gardaab ki tahoon mein kahin
bhuja hui koi lamha
kisi chiraag k daagh
k mein bhi zinda hoon
k mein bhi zinda hoon apnay ujaar dil ki tarhaan
ujaar dil
k jahan aaj bhi tumharay baghaire
har ik raat bikhar aai hai arzoo ki dhanak
har ik subha dhamaktay kahin zakhm zakhm gulaab
ujaar dil
k jahan aaj bhi tumharay baghaire
har ik pal meri ankhoon mein
dhal k dhalta hai
taptee raat ki tapish say
badan pighalta hai
ujaar dil k jahan doobta sooraj
jis waqt yeh likhta hai
doorioon k paighaam
palat kar dekhna chaho
tou nafratoon say idher
darakhshaan hai kab say aik hi naam
woh naam jis pay musalsal aitmaad hai mujhay
woh naam…
loohjaan pay ubhar k bolta hai
nazar paray tou samajna
K TUM HO YAAD MUJHAY**
nahi na g; uss se aik aur jhagraa shuru ho sakta, koi tea laay urray tau fir?
jhagra khattum kartay g aur kahnay ki baat ye g k very nice sharing wo tau bus uss aik line se line se utarna para.