**labon pay naam rakhnay say **
haR ik dharkan, haR ik tarpaN
**kisi ke naam kaRnay say **
koi apna nahi banta! !!!
tamam umaR ki khushiyan
**mohabbat ki sabhi ghariyan **
**kisi ko daan kaRnay say **
k …us pay maan kaRnay say
**koi apna nahi banta **
**wo pehlay piyaR ki bataiN **
**rafaqat ki sabhi ratain **
wo chahat ki sabhi rasmaiN
mohabbat ki sabhi qasmaiN
**humaisha yaad rakhnay say **
**koi apna nahi banta **
**kisi tanha akaili raah guzaR paR **
**puRanay say kisi boorhay shajar paR **
**patthar say koi dil bananay say **
**Aur… **
**uss main apna or kisi ka naam sajanay say **
Koi apna nahi banta …!!!
**jab…aankhain hi ma’R ja’ain **
**tu phiR sapna nahin banta **
**ye jeewan daaan kaR ja’ain **
**tu bhi apna nahi banta **
koi apna nahin banta…!!!