k haseen shaam dhalnay ko hai

Ye dard mit gaya to phir?
Ye zakhm sil gaya to phir…?
Bichhar kar sochte hoon main,
Wo phir se mil gaya to phir…?

Main titliyon k shehar mein,
Rahoon to mujh ko fikr hai…
Wo phool jo khila nahi,
Wo phool khil gaya to phir…?

Tujhe bhi kuch nahi mila,
Mujhe bhi kuch nahi mila…
Tamam umr k liye,
Ye dard mil gaya to phir…?

Main is liye to aaj tak,
Sawal bhi na kar sake…
Agar mere sawal ka,
Jawab mil gaya to phir…?

k haseen shaam dhalnay ko hai

**Kaha ho tum...
k haseen shaam dhalnay ko hai

Kaha ho tum...
yeh mausum badalnay ko hai

Kaha ho tum...
k gulistan ujarnay ko hai

Kaha ho tum...
k yeh aftab samundar say milnay ko hai

Kaha ho tum...
k darakhtoo k patty apna rang badalnay ko hai

Kaha ho tum...
k asmaan neeli gherai mai dhalnay ko hai

Kaha ho tum...
K yeh chand bhi kahi khonay ko hai

Kaha ho tum...
k yadoon ka karwaan nikalnay ko hai

Kaha ho tum...
k dil bechain tum say milnay ko hai

Kaha ho tum...
meri khushiyan ghum mai badalnay ko hai

Kaha ho tum...
k nizam-e-hayat sonay ko hai

Chalay bhi Aao k...
yeh mausum phir say khil uTthay
asman ka andhera phir roshni mai badal jaey
darakhto pay phir haryali ajaey
gulistan phir say mehak uTthay
meray sray Ghum khushiyo mai badal jaey
sub say berh kar tu mera hamsafar ho jaey

Kaha ho tum...**