Na baab-e-harf-o-sdaa main, na mah-o-sal main tha.
Jwab jis ka nhi tha , wo is swal main tha.
Ye harf harf main khushbo,ye roshni ka hunar.
Mera to kuch bi nehi, sb tery jamal main tha.
Jo muskra ky judai ki baat krta tha.
Mujy mila to garift-e-shab-e-malal main tha.
Ye log yuoon to nehi thy jo ab zwaal main hai.
Ye shehr aisa nehi tha ky jub kamal main tha.
Ky manziro main jo manzir thy wo khulay muj per.
Yehi hunar to meri wusa’aat-e-khayal main tha…!
Noshi gilani