juz teray koi bhi din raat na kaanay meray
tu kaha hay mager ay dost puranay meray
khulaq ki baykhabri hay kay meri ruswaai
log mujhi ko sunaatay hain fasanay meray
aaj aik aur baraz beet gaya us kay bughair
jis kay hotay huay hotay thay zumaanay meray
kaash tu bhi kabhi ajaaey museehaai ko
log aatay hain buha dil ko dhukaanay meray
kaash auro ki tarah main bhi keh sakta
baat sun li hay meri aaj khuda nay meray