Justujoo jis ki thee uss ko tau na paaya hum ney
iss bahanay se magar daikh lee dunyaa hum ney
Tujh ko ruswa na kia, khud bhee pashemaan na huay
ishq ki rasm ko iss tarha nibhaayaa hum ney
Kub milay thaay, kahan bichraay thaay humain yaad nahi
zindagi tujh ko tau bus khwaab main daikha hum ney
aey Adaa aur sunaayein bhee tau kia haal apna
zindagi ka lamba safar taay kia tunhaa hum ney