Justujoo jis ki thee.... !!!

Justujoo jis ki thee us ko tu na paaya hum ne …
Is bahaanay se magar dekh li duniya hum ne …

Tujh ko ruswa na kiya khud bhi pashemaan na huwe
Ishq ki rasm ko is tarha nibhaaya hum ne

Kab milli thee kahaan bichree thee humein yaad nahee
Zindagi tujh ko tu bas khwaab mein dekha hum ne

Ay ada aur sunayein bhi tu kya haal apna
Umer ka lamba safar tay kiya tanha hum ne

Justujoo jis ki thee us ko tu na paaya hum ne !!!
Is bahaanay se magar dekh li duniya hum ne !!!

nice:k:

Nice :k:

bahut shukriyaa! dil dukhaa dene waale
vafaaon ke badle jafaa dene waale

nahiin ek tere hi sar pe ye tohmat
bahut hain yahaan dil dukhaa dene waale

raho tum salaamat jahaan bhii raho ab
mujhe zindagii ki du'aa dene waalay
mujhe tujhse kuch bhi shikaayat nahin hai
hasaan ke mujhe phir rulaa dene waalay

qayaamat hai aayii qayaamat se pehle
O' qah'r-e-khuda se daraa dene waalay

"abhii aap bahut naa samajh hain"
yahii kah rahe hain daghaa dene waale!

nice nice :k:

Thanks :)

wah wah kia baat hai:k: