Justju unko

Justju Unko Baharon Ki Hai Veeranon Mein
Dhoondte Phirte Hain Apnon Ko Ve Baigaanon Mein

Jo Udaate Te Hasi Ishq Ke Bimaaron Ki
Khud Wahi Aaj Hain Shaamil Unhi Deewanon Mein

Kuch Na Kuch Khot Mili,Sab Ke Dilon Mein, Phir Bhi
Hum Farishton Ko Rahe Doondte, Insaanon Mein

Kisliye Shamma Pe Vo Jaan Gavaye Naahak
Behas Hothi Hain Yahi Aaj Ke Parvaanon Mein

Beyimaani Ke Fasadon Ke Sitam Ke Kisse
Ab Nazar Aate Hain Akbaaron Ke Unvaanon Mein

Hain Yakeen Jinko Doston Ki Yaari Par
Kyu Shummar Unka Na Duniya Kare Naadaanon Mein

Pooch Lo Nasha Kaisa Hai Har Katre Mein
** Maye Chalakti Hain Jo In Aankhon Ke Paimaanon Mein**

Re: Justju unko

Jo Udaate Te Hasi Ishq Ke Bimaaron Ki
**Khud Wahi Aaj Hain Shaamil Unhi Deewanon Mein

Allah sab ko iss aafat se door rakhe
**

Re: Justju unko

Piyar kiya nahin jata ho jata hai.

Re: Justju unko

ab waqt badal gaya hai.. ab pyar, shadi aur shadi ke baad ke mamlaat planing ke sath hote hain ;)

Re: Justju unko

jee haan aaj kul shaadi kay roz divorce lawyers apnay cards dey jatey hain kay aglee week aa jayein, faisla karwa dey gey.