**Justajuu khoye huwon kii umr bhar karate rahe
Chaand ke hamraah hum har shab safar karte rahey
Raaston kaa ilm thaa ham ko na simton kii Khabar
Shahar-e-naamaaluum kii chaahat magar karte rahey
Ham ne Khud se bhii chhupaayaa aur saare shahar sey
Tere jaane kii Khabar dar-o-divaar karte rahey
Wo na aayegaa hamein maalum thaa us shaam bhii
Intazaar us ka magar kuch soch kar karate rahey
Aaj aayaa hai hamein bhii un uraanon kaa Khayaal
Jin ko tere zaum mein be-baal-o-par karate rahey **