Junoon-e-ishq ka itna tu haq adaa karte
usse bhi apni tarha aalam aashna karte
hayat-e-dard sahi phir bhi aah kya karte
fana ki cheez jo hoti tu ham fana karte
tamaam manzar-e-hasti ko aik ja kya karte
phir apni sharh-e-mohabat juda juda karte
mohabat asl-e-haqeeqat hai uss ko kya karte
hum ilteja jo na karte, wo ilteja karte
wo hans rahe hai mere haal per hansa karte
ye beh rahe hain jo aansoo yun nahi baha karte
na tha pasand ke mehroom-e-ilteja karte
wa-garna dil wo kisi ka pasand kya karte
ye kya majaal ke hum tark-e-ilteja karte
dahan ko see bhi jo lete nazar ko kya karte
namaz-e-ishq yahan hai nafas nafas jaari
kabhi adaa he na hoti agar qaza karte
yaqeen karo ke tumhari jagah jo hum hote
mohabaton ke khazaane luta diya karte
na inteha hai na kuch ibteda mohabat ki
jo inteha koee hoti tu ibteda karte
nahi jo vasl moyassar naseeb hijr tu hai
ham apne farq ka unn se malaal kya karte
By: Jigar muradabadi