Junon mein shauq ki gehra’iyon se darta raha
Main apni zaat ki sacha’iyon se darta raha
Mohabbaton se shanasa huwa main jis din se
Phir us k baad shanasa’iyon se darta raha
Wo chahta tha
k Tanha milon to baat karay
Main kiya kron k main tanha’iyon se darta raha
Main raig’zaar tha mujh mein basy thy sanaty
Esi liey to main shehna’iyon se darta raha
Main apny Baap ka Yousaf tha es liye Mohsin
Sakoon se so na saka, Bha’iyon se darta raha…