Mohib-e-jung
aman o atishi kay nighdaroon nay cheer di hai
jawaz sadeer howa hai kay jung
hifz-e-ma taqadam main ki gay hai
sada se jung ka aik hi qanoon arha hai
darandagi main jo sab se bay raham hai , bara hai
wo koi qabil , koi namrood ho kay shadad
wo koi firon , koi changeez ho kay hajaj
haqeeqatan bhi aur alamatan bhi
abhi talak choti machlyoon ko
baray magar mach nigal rahain hain
tamam darya seemat ker samandar ban rahay hain
qaran qaran se zamana kitna badal choka hai
hayat ka ahd-e-sang ,
ahd-e-shaoor insan main dhal choka hai
osolay taqat magar wo hi hai
jo shah hai , kar gar wo hi hai
isi bina per naya shahanshah wahmoon ka jawaz day ker
nirali syaal doolaton kay chupay howay saray raaz lay ker
qadam qadam apni hakmyat ki wasatoon ko barha raha hai
her aik su shoor mach raha hai wo arha hai
bazheeray insanyat ko bay raham amroon se bacha raha hai
bayateen , arz-e-khud ki dolat pe
mil ker qabza ker raha hai , jam raha hai
kahan kahan hastay bastay shahroon per
aag barsai ja choki hai
nawahay muslmano kay shroon kay khndar
dawat tago taza day rahay thay
taraptay llashay zameer insaniat ko awaz day rahay thay
karooron insan nikal paray hain jawab ban ker
shaoray insan barha hai aik ahtisab ban ker
naya shahansha
, ahid-e-taskheer chahta hai , na ho sakay ga
jo soch ta hai , jo bolta hai , jo ker raha hai wo na ho sakay gao
abhi tou fitrat ka andaze kaar , khud shkaar ho ga
abhi tou qdrat ka faisla
nooh per ashkar ho ga
abhi tou shab kay andharay aur roshni main
baham thani hoi hai
yeh tou haq o batil ki jung hai
khatam kab hoi hai !!!
mehwish afsar
[RIGHT]http://www.hallagulla.com/urdu/images/vbseo/digg.gifhttp://www.hallagulla.com/urdu/images/vbseo/delicious.gifhttp://www.hallagulla.com/urdu/images/vbseo/technorati.gifhttp://www.hallagulla.com/urdu/images/vbseo/furl.gifhttp://www.hallagulla.com/urdu/images/vbseo/yahoomyweb.gifhttp://www.hallagulla.com/urdu/images/vbseo/googlebookmarks.gifhttp://www.hallagulla.com/urdu/images/vbseo/windowslive.gifhttp://www.hallagulla.com/urdu/images/vbseo/facebook.gifhttp://www.hallagulla.com/urdu/images/vbseo/ask.gifhttp://www.hallagulla.com/urdu/images/vbseo/stumbleupon.gifhttp://www.hallagulla.com/urdu/images/vbseo/squidoo.gif
[/RIGHT]