paband main nahie houn kisi zulfgeer ka
samband nahie rakhta main kisi sur sangeet ka
yeh aak tasawer hai keh koi mujh se mila hai
betab main nahie houn magar uss parda nasheen ka
jo dobtay hain sehraee ishiq ki galyoun main
musafir main nahie houn unn mah raqeeboun ka
ho sakta hai woh mujh ko kabhi kisi jall main dakhain
jaltain hain jahan derd ke mare phanse hotay
yeh waqat ki ho shaid koi karam nawazi
verna main abb bhi houn hatdahram musafir
wah kiya khooub dilasay miltain hain unn loogoun ko unn se
jo kal tu kal pal bhar ki khaber rakhtay nahie hain
main kiya janoun yeh shab-e- hijar hoti hai kiya
ajj tak tu koi mere dil main bhi bhala bassa hai yahan
main janta houn unn taqazoun ko jo hain zinda sab main
bhala unn main aur ishq main koi faraq nahie hai
yeh soouchne ki baat hai aur ghour bhi kerna
koi ishq ko keh dale do badanoun ka milna
kiay ishq yeh ijazat tumhain deta hai bataooo
verna na karo zulm yeh tu ibadat hai bataoo
iss ishq ka tu allah muhafiz hai logou
jiss tarhan chamakta jugnu haqiqat hai yeh logou