**Judai se mara tu b nahi main b nahi
Dono insan hain, khuda tu b nahi main b nahi
tu mujay aur mauj tujay ilzaam detay hain
apnay andar jhankta tu b nahi main b nahi
zamanay ne kr diya dono main ikhtlaaf paida
wrna fitarat ka bura tu b nahi main b nahi
mukhtalif simton main dono ka safar hai jari
ik lamhay ko ruka tu b nahi main b nahi
chahtay dono hain ek dusray ko
par ye haiqat manta tu b nahi main b nahi**