juda kisi say kisi ka gharz habeeb na ho
yeh dagh woh hai kay dushman ko bhi naseeb na ho
juda jo ham ko karay iss sanam kay kochay say
elahi rah main aisa koi raqeeb na ho
elaj kia kary hukma, tap judai ka
siway wasal kay iss ka koi tabeeb na ho
nazeer apna to mashooq khobsorat hai
jo husan iss main hai, aisa koi ajeeb na ho