** Dil ko kabar bana kar jatay to acha tha
**** Armanoon ko is mein dafna kar jatay to acha tha.
**
** Judai ki saza bari takleef deti hai.
**** Mujhay diwaroon mein chunwa kar jaty to acha tha.
**
** Tumhary baad in hasratun ka kia ho ga.
**** Inhein kafan pehna kar jaty to acha tha.
**
** Yun rota chor kar na jaty mujh ko.
**** Meray dil ko behla kar jaty to acha tha.
**
** Teray khatir chor saktay thay is zamany ko.
**** Ik baar hamein azma kar jaty to acha tha.
**
** Yun dosti par dagh laga kar na jaty.
**** Rasm-e-dosti nibha kar jaty to acha tha.
**
** Meri mayyat pay shirkat to na kar sakay laikin.
**** Qabar ko pholoon say saja kar jaty to acha tha.
**
** Hamari ankhun say neend chura kar chaly gai.
**** Meethi neend hamein sula kar jaty to acha tha.
**
** Sagar ko andheron mein tanha chor chaly ho.
** ** Deep koi jala kar jaty to acha tha**