~ Judaee ki pehli saalgirah ~

Ji mein hai aaj ki shab us ke leye jaag ke kaati jaaye Woh jo aankhoon se paray Ajnabi dais ki gumnaam hawaa'oun mein kaheen bethi hai Kya muhabbat ke leye yeh bhi zaroori hai ke mein Us ke chehre ko khadokhaal mein laa kar dekhoon Sach tu yeh hai ke mujhe yaad nahee, us ki jabeen kaisi theen Hont kaise thay, badan kaisa thaa, aankhain kya theen Bas yehi yaad hai woh jaisi nazar aati thee Us se kaheen achi thee Yeh maah'o'saal ka toofaan bahut zaalim hai Woh agar paas bhi hoti tu kissay ilm hai kaisi hoti Yun tu har raat mere dil pe giraan kat'ti hai Phir bhi ay bhoolay huwe... tu hi bata Gham ki zanjeer bhala jaagne sone se kahaan kat'ti hai Yeh jo aahat se abhi nikhat'e'gul ki tarah phaili hai Tere qadmoon ki sada lagti hai Jab bhi koi jahaaz yaad ki shama leye Gham ki bechain hawao'oun se guzarta hai Tu dil shaam'e'furqat ke tassavur se laraz uth'ta hai Shaam-e-furqat jo hakeekat hai magar khwaab numa lagti hai Chaand jab abar ke tukroon mein safar karta hai Tu yun lagta hai Mein bhi ek abar ka tukra hoon Jissay tera wisaal ek lamhay ki rafaqat mein mila Ay mere guzre huwe chaand... mujhe tera wisaal Tera aik lamha wisaal Daaemi hijr ke andooh musalsal ke iwaz baar nahee **Ay mujhe abar ke tukre ki tarah chor ke jaane walay** Tere bakhshay huwe lamhay ke aiwaz Kya mujhe dena para, us se sarokaar nahee Pehli saalgirah aaj judai ki manaoun shab bhar Shaam-e-furqat ki tarah ashk bahaoun shab bhar Phir airport ki reling pe tikka kar kohni Teri rukhsat ka samaan dheyaan mein laaoun shab bhar Tu jo rooti huwi aankhoon se paray Ajnabi dais ki gumnaam hawaoun mein kaheen bethi hai...

:k:

bahut hi khoob!

but

judai ki pehli salgiraah?

Ji mein hai aaj ki shab us ke leye jaag ke kaati jaaye
Woh jo aankhoon se paray :rolleyes: :rolleyes: