Juda howay, tu judai may yeh kamal bhi tha,
k us say rabta toota bhi tha, bahal bhi tha,
woo janay wala hamay kis tarhan bhulaye ga,
hamaray peshay-e-nazar, aik yeh sawal bhi tha,
yeh ab jo dekh rahay hoo, yeh kuch naya tu nahi,
yeh zindagi ka tamasha guzishta saal bhi tha,
yeh daagh likha tha seelaab k muqadar may,
mera makan tu pehlay say khasta haal bhi tha,
naveed tarkay-e-taluk pay khush tu thay lakin,
jo sach kahain tu tabiyat may kuch malaal bhi tha,
(Naveed Raza)